I have been thinking a lot about this to do next in life. I am kinda person who likes to go into the flow of things. But always have the general plan ahead of the next few steps. These words describe my condition of life so far.
Aankhon ki sipiyon mein
samet lun inhe
khona jaye kahi yeh pal
palko ko khol dun
dekhne ko inhe
jhalak na jaaye
lagta hain darr
choti choti khushiyon ke liye kyu
tarse yeh lamhe
badi badi chot khake aye hain
safar milon ka tay karke
lagti hai har hasi pani ke
bulbulo si aaj
udd udd kar mud jaate hain
falak se jab milne
thak kar kabhi jab do ghari
ruk jaati hun
peeche kabhi mud kar yuhi
dekh leti hun
ab tak safar acha raha
iss modh se jaaye kahan
raaste me jo bhi ho
dhoondungi main apna jahaan
khwaaishe kya manzile
kya hoti hai sapne
ajnabi the jo raaste
ab ban gaye apne
fikar ura ke ab chalun main
in baadlon ke paas
udd udd kar mud jaate hain
parinde jaha sapno se mil
thak kar kabhi jab do ghari
ruk jaati hun
peeche kabhi mud kar yuhi
dekh leti hun
ab tak safar acha raha
iss modh se jaaye kahan
raaste me jo bhi ho
dhoondungi main apna jahaan
No comments:
Post a Comment